Thursday, July 31, 2008

kash ye tera khat aakhri na hota....


kaash wo tera aakhiri khat aakhiri na hota
bhoola nahi hai tu mujhe ye ehsaas to rehta
main tanha to hoti magar itna bhi na hoti
har khat tera wajood banke mere paas to rehta

shayad meri mohabbat me ab koi asar na raha
ab na hoti hongi teri aakhein nam mere liye
shayad tere dil me meri yaadon ka basar na raha
ab na uthaa te honge tere haath kalam mere liye

lekin lag raha hai mujhko aaj dil ki baaton se
jaise kar raha hai tu bas abhi yaad mujhe
likh raha hai khat koi apne haaton se
jo aake milga bas chand roz ke baad mujhe

subah guzar jaayegi shaam ke intezaar mein
aur shaam nayi subah ke intezaar me guzar jaayegi
zindagi guzar jaayegi tere paigaam ke intezaar mein
us ke baad kya hoga bas maut chali aayegi

is aas me chali jaaungi main ye jahan chhodkar
ki shayad mera marna hi kuchh kaam aayega
shayad chala aaye tu us pal mere paas daudkar
jis pal tere paas meri maut ka paigaam aayega

kaash ...........
tera khat akhari khat na hota

*****Palak*****

4 comments:

Dr. Ravi Srivastava said...

वाह! क्या बात कही है आप ने। प्यार और प्यार में ख़त की अहमियत को लेकर जो ताना-बना बुना है वो वाकई काबिले-तारीफ़ है।
...रवि

Anonymous said...

Kis qadar zulm dhaya kertey ho
Yeh jo tum bhool jaya kerte ho
Hum jahan chaye peene jate thay
Kia wahan ab bhi aaya kerte ho
Kon hai ab ke jis ke chehre per
Apni palkon ka saaya kerte ho
Phone per geet jo sunate thay
Ab wo kis ko sunaya kerte ho
Akhiri khat maine yui likha tha
Tum mujhe yaad aaya kerte ho

...raaaj

Anonymous said...

लिखे जो ख़त तुझे
वोह तेरी याद में
हजारों रंग के
नजारे बन गए

सवेरा जब हुआ
तो फूल बन गए
जो रात आई तो
सितारे बन गए
पर्ल...

Anonymous said...

tere khushboo mai base khat mai jalata kaise
pyar mai dubay hue khat mai jalata kaise ....

Atharv