Humne mehboob ki aankhon par
Haathon ko apne rakh kar dekha…
Nafraat ke aangaaro ko jab unkii
Nazaron mey dehekta dekhaa….
Aur Unhii haathon ko dil par rakh kar,
Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa…
Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha…
Ek ajnabii si nazar deewar ko bhedtii hui,
Ek ukhdii hui saans jigar ko chedtii huii…
Khud ki talaash mey bhatak rahii hai ruhh,
Do pal ka bhii nahin jaise mere naseeb mey sukoon…
Ghar ke saajo-samaan ko khud par Humne haste dekha…
Apne Wajood ko bhi sajawat ka saamaan Bante dekha…
Harr rishte par ek maut khud ki paayii hai,
Bazaar mey jaise bolii khud apni lagayii hai…
Koii zeher jaise apne haathon pee liya humne,
Zehar pee ke bhee magar kaise jee liya humne…
Khulii aankhon sey kaisa khaufnaak yeh sapnaa dekha…
Kaii Zehreele naagon ko kadmon sey lipatt.tey dekha…
Chand bhi aakar meri chhatt pe rota hai…
Palkon mey namii hoti hai bikhrii bikhrii…
Dil phir bhi nayii umeed koi pirotaa hai…
Woh toh takkiye ko aangosh mey le lete hai,
Jaane kaise woh chain ki neend so lete hai…
Raat ki raani ko kabhii khidkii pe Mehekta dekha…
Humne raaton ko aankhon aankhon mey guzartaa dekhaa…
6 comments:
Jub Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai
Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti Hai
Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain
Pata Nahi Kab Din Kab Raat Hoti Hai
Pearl...
Heart Touching...
Pearl...
i saw your blog today and my eyes stopped there in your words full of internal heart-touching feelings. I can feel what u want to tell this world. As I have experience, i can understand that there is nothing bigger than true love. i m really impressed....
"Kabhi kisi ka aitbaar na karna,
kabhi kisi se ai dost pyaar na karna.
jinki aadat ho waade bhula dene ki,
unka kisi moad par intizaar na karna."
...Ravi
Surkh Ghulab k Sarey Mausam Tere Naam
Her Subah ka pehla Ujaala Tere Naam
Teri Yaad ka behta Darya Mere lye
Behti Jheel mai Phool Kanwal ka Tere Naam
Jitne Khawab Khuda ne Mere Naam likhe
Un Khawabon ka Resha Resha Tere Naam
Tere bina jo Umar Beeti Beet gayi
Ab is Umar ka baqi Hissa Tere Naam
I am not able to give the right judgment to your spontaneous flow of power fillings with my words.
I am just dare to justify your precious gems with your own gems, gifted/dedicated to me long back.
I believe my preserved ornament really worked out here.
Very Heart touching .....
I reaaly liked it.
Post a Comment