Monday, November 10, 2008

Kaise batau ...!!!!


Kaise batau main tumhe,
ke tum mere liye kaun ho?

mere mann tum ho,
mere meet tum ho,
mere chehare pe jo muskurahat lati ho,
mere liye woh geet tum ho...

mera samay tum ho,
mera theharao tum ho
meri raah tum ho,
meri manzil tum ho...

mera sagar tum ho,
mera sahil tum ho,
jo zindagi ki saari thakaan mita de,
mere liye woh nazara tum ho...

ab kaise batau main tumhe,
ke tum mere liye kaun ho...

meri baatein tum ho,
meri khmoshi tum ho,
meri muskaan tum ho,
mere ansun tum ho...

mera hosh tum ho,
meri bekhudi tum ho,
meri mehfil tum ho,
meri tanhaee tum ho,
mera khwab tum ho,
is dil ka armaan tum ho...

meri saanse tum ho,
meri ankhen tum ho,
mera dil tum ho,
meri dhadkan tum ho...

an main tumhe kaise batau,
ke tum mere liye kaun ho?
meri to shuruwaat bhi tum ho...
aur mera anth bhi.....

2 comments:

amul said...

Hi Pal,


Na Jaane Kyun, Hota Hai Yeh Zindagi Ke Saath Achaanak Yeh Mann, Kisike Jaane Ke Baad Kare Phir
Uski Yaad Chhoti Chhoti Si Baat Na Jaane Kyun ... Jo Anjaan Pal, Dhal Gaye Kal, Aaj Woh Rang
Badal Badal, Mann Ko Machal Machal Rahen Hai Chal, Na Jaane Kyun Woh Anjaan Pal Saje Bhi Na Mere,
Naino Mein Toote Re Hai Re Sapno Ke Mahal Na Jaane Kyun ... Wohi Hai Dagar, Wohi Hai Safar
Hai Nahin Saath Mere Magar Ab Mera Humsafar Idhar Udhar Dhoonde Nazar Wohi Hai Dagar Kahan Gayi
Shaamein, Madhbhari Woh Mere, Mere Woh Din Gaye Kidhar Na Jaane Kyun ...

Anonymous said...

Na puchho mujse mere hone ki pehchan…
Baki nahi hai muj mai kuch mera kahne ko…

Dil ki haar dhadkan pe bas usika naam hai…
Dil ke sare aarman bas usike naam hai..

Pearl...